mausam ka hath hai na hawa hai khalaon mein phir us ne kiya tilism rakha hai khalaon mein jo tutti bikharti si rahti hai raat din kuchh is tarah ki ek sada hai khalaon mein jari hai raushni ka safar dur dur tak kya khel koi khel raha hai khalaon mein manzar bhi mukhtalif hain juda is ke rang bhi jis tarha koi khwab-e-nawa hai khalaon mein jari hai kahkashaon ki baraat is tarah mela sa jaise koi laga hai khalaon mein sanat-gari ki ramz alag hai zamin par karigari ka raaz juda hai khalaon mein raftar aur waqt ka andaza hai kuchh aur fitrat ki mukhtalif hi ada hai khalaon mein is kaenat ki koi had hi nahin 'zafar' apna hi us ne tarz rakha hai khalaon mein