mausam ka zahr dagh bane kyun libas par ye soch kar na baith saka sabz ghas par muddat hui ki tair-e-jaan sard ho chuka udte rahe hawaon mein kuchh bad-hawas par suraj ka phul abr ke patton mein gum raha shab ke shajar ka saya raha mujh udas par wo ja chuka hai mod se aankhen hata bhi le bekar hont sabt hain khali gilas par kaise nasib ho teri baaton ka zaiqa ji aa gaya hai taza phalon ki mithas par behtar hai khud hi ajnabi ban kar use milen ilzam aae kyun mere surat-shanas par ehsas bhi na tha ki hai patthar mera badan han dubna pada hai ubharne ki aas par pani ko rokiye ki na honton tak aa sake beja na uzr aae kahin meri pyas par ye karobar dard ka phir phailta gaya kholi dukan thi zakhm-e-hunar ki asas par 'shahid' hue hain dard ke shoalon se be-khabar chingari phenk dije hawa mein kapas par