lahu mein rang lahrane lage hain zamane khud ko dohrane lage hain paron mein le ke be-hasil udanen parinde laut kar aane lage hain kahan hai qafila baad-e-saba ka dilon ke phul murjhane lage hain khule jo ham-nashinon ke gareban khud apne zakhm afsane lage hain kuchh aisa dard tha bang-e-jaras mein safar se qabl pachhtane lage hain kuchh aisi be-yaqini thi faza mein jo apne the wo begane lage hain hawa ka rang nila ho raha hai chaman mein sanp lahrane lage hain falak ke khet mein khilte sitare zamin par aag barsane lage hain lab-e-zanjir hai tabir jin ki wo sapne phir nazar aane lage hain khula hai raat ka tarik jangal aur andhe rah dikhlane lage hain chaman ki bad thi jin ka thikana dil shabnam ko dhadkane lage hain bachane aae the diwar lekin imarat hi ko ab dhane lage hain khuda ka ghar tumhin samjho to samjho hamein to ye sanam-khane lage hain