mausam ke badalne ka kuchh andaza bhi hota jab ghar hi banaya tha to darwaza bhi hota hum sher-e-namak-rez sunate sar-e-mahfil jo zakhm fasurda tha tar-o-taza bhi hota tum hote to mearaj-e-khayalat bhi hoti bikhre hue alfaz ka shiraaza bhi hota jazbaat ki aankhon mein chamakta koi shoala ehsas ke rukhsar pe kuchh ghaza bhi hota raqqasa-e-diroz bhi be-pairahan aati doshiza-e-imkan ka khamyaza bhi hota