phir se wahi haalat hain imkan bhi wahi hai hum bhi hain wahi masala-e-jaan bhi wahi hai kuchh bhi nahin badla hai yahan kuchh nahin badla aankhen bhi wahi khwab-e-pareshan bhi wahi hai ye jal bhi us ne hi bichhaya tha usi ne khush khush bhi wahi shakhs tha hairan bhi wahi hai ai waqt kahin aur nazar dal ye kya hai muddat ke wahi hath gareban bhi wahi hai kal sham jo aankhon se chhalak aaya tha meri tum khush ho ki us sham ka unwan bhi wahi hai har tir usi ka hai har ek zakhm usi ka har zakhm pe angusht ba-dandan bhi wahi hai 'shahpar' wahi bhula hua qissa wahi phir se achchha hai teri shan ke shayan bhi wahi hai