mausam ki mar waqt ka koda hai meri samt ab jo bhi jis tarah bhi hai achchha hai meri samt sochun to sau malal mujhe sans sans par dekhun to ek aag ka dariya hai meri samt dariya ke pakchhpat pe ab kya kahen ki jo uthla hai teri samt to gahra hai meri samt aisi udas raat ki kate nahin kate baam-o-ufuq pe chhaya andhera hai meri samt main wo shajar hun jis ki sabhi pattiyon mein chhed main wo kaman hun jis ka nishana hai meri samt aankhon ka dasht khwab ki lapton se jal gaya aur is ke bawajud jo sabza hai meri samt ek raushni jo fikr mein utri hai ghaib se ek bagh lafz khulte hi mahka hai meri samt