simat raha hai wafa ka aanchal hisar-e-wahshat machal raha hai ajib an-honiyon ke dar se hamara sina dahal raha hai ye dasht kanton se phal raha hai ye kaisa parwat uchhal raha hai zamin ki barud ho chuki hai falak ki shoala ugal raha hai ye mere apne ye mere shair jo rafta rafta guzar rahe hain khuda ki aankhen michi hui hain nadi ka pani ubal raha hai ye daur-e-hazir ki be-hisi hai ya ek bagule ki shakl koi jo mere chashme ki machhliyon ko ek ek kar ke nigal raha hai main gahe-gahe qaza se aage qadam badhae guzar raha hun ki chuha billi se tez-rau mein khudi se aage nikal raha hai wo jaise rang-e-gulal bhi ho wo jaise bab-e-visal bhi ho wo yani shair ka khwab hai jo hamare sine mein pal raha hai