mausam ne ruKHsati jo sunai bahaar ki

mausam ne rukhsati jo sunai bahaar ki
bhar aai aankh gul hi nahin khar khar ki

jaen to jaen bichhde hue log kis taraf
hain phul naqsh-e-pa ke na khushbu ghubar ki

ek pal dilon ke darmiyan qaem hai aaj tak
tufan ne todne ki to koshish hazar ki

muddat se tak raha hai meri rah rozgar
ai ishq khub teri rawish ikhtiyar ki

aksar hain dekhne mein bahut khushnuma magar
rishton mein ab mahak hai kahan e'tibar ki

phirti hai mujh ko le ke na jaane kahan kahan
'faruq' meri khak hai ye kis dayar ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close