na jaane kis ne kaha tha bhaTakte aahu se

na jaane kis ne kaha tha bhatakte aahu se
mahak raha hai ye jangal teri hi khushbu se

jhulas raha tha kai din se aankh ka sahra
ye dasht ho gaya sairab ek aansu se

wo hijr tha ki andhera sa chha gaya dil mein
wo yaad thi ki chamakne lage the jugnu se

mere liye to wo diwan-e-'mir' jaisa tha
hua tha nam kabhi kaghaz jo pahle aansu se

to aankh bhar ke un aankhon mein dekhna hoga
to hoga aise hi jadu ka tod jadu se

hawa ka zor hai kya dhup ki hai kya shiddat
ki aansuon ki duaen bandhi hai bazu se

hawa ke lams ne mahka diya mujhe 'faruq'
hawa ne hath rachaen hain kis ki khushbu se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close