mausamon ki baaton tak guftugu rahi apni main ne kab kahi apni tum ne kab suni apni khatm hi nahin hote silsile sawalon ke silsile sawalon ke aur khamushi apni ek had pe qaem hai ghatti hai na badhti hai tirgi zamane ki aur raushni apni kuchh hasin taswiren rah gain nigahon mein warna kya guzar pati sham-e-zindagi apni fasl-e-gul ke hangame aarzi to hote hain yun nahin guzar jate jaise zindagi apni kuchh udas logon ne mera haal puchha tha warna kaun karta hai arz waqai apni is khata ne mujh ko bhi sharmsar kar dala shahr ke raison se dosti na thi apni kuchh khushi ke aansu bhi ashk-e-gham ke sath aae apne jaise logon se jab ghazal suni apni