maut aai hai zamane ki to mar jaane do kam se kam us ki jawani to guzar jaane do jag utthenge hum abhi aisi zarurat kya hai dhup diwar se kuchh aur utar jaane do muddaten ho gain ek baat mere zehn mein hai sochta hun tumhein batlaun magar jaane do gardish-e-waqt ka kitna hai kushada aangan ab to mujh ko isi aangan mein bikhar jaane do khush-nasibi se idhar aatish-e-gham khub hai tez dosto ab meri hasti ko nikhar jaane do koi manzil nahin rah jaegi sar hone ko aadmi ko zara allah se dar jaane do tod do badh ke ye mafruza wafaon ke hisar dil ki aawaz jidhar jae udhar jaane do waqt ke hath ka phenka hua patthar hun main ab to mujh ko kisi shishe mein utar jaane do uljhanen khatm na kyun hongi zamane ki 'alim' un ke uljhe hue gesu to sanwar jaane do