dil ka sukun aankh ka tara kise kahen

dil ka sukun aankh ka tara kise kahen
ye sochna pada hai ki apna kise kahen

ye shor-e-inqalab ye naqus ye azan
hangama kaun sa hai tamasha kise kahen

rahbaniyat ka jism se fastaiyat ki ruh
kis ko rafiq khun ka pyasa kise kahen

sab milte-julte chehre hain dushman bhi dost bhi
qatil kise bataen masiha kise kahen

har zarra-e-haqir hai ham-dosh mehr-o-mah
is pattharon ke dher mein hira kise kahen

itna shuur de hamein khallaq khair-o-shar
khar-o-zabun hai kaun farishta kise kahen

milna tha jo nasib se wo mil gaya 'ziya'
hasrat kise bataen tamanna kise kahen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close