maut aai kitni bar nai zindagi hui nikli magar na phans jigar mein chhupi hui ab ho bhi koi mail-e-lutf-o-karam to kya hoti nahin shagufta tabiat bujhi hui mausam yahi bahaar ka hai ishq ke liye aati nahin palat ke jawani gai hui kuchh zahr ka nasha hai to kuchh tharthari si hai rag rag mein aaj hai koi shai pairti hui aab-e-hayat bhi koi chhidke agar to kya bujhti nahin hai aag jigar mein lagi hui aai hai sans dusri nashtar liye hue ek sans mein hamein jo masarrat kabhi hui har roz ek dard naya dil mein hai 'jigar' har raat sochte hain ki had dard ki hui sahra mein chal ke gham ko bhula do utho 'jigar' dekho wo aa rahi hai ghata jhumti hui