kahan na-jaane chala gaya intizar kar ke yahan bhi hota tha ek mausam-e-bahaar kar ke jo hum pe aisa na kar-e-duniya ka jabr hota to hum bhi rahte yahan junun ikhtiyar kar ke na-jaane kis samt ja basi baad-e-yaad-parwar hamare atraf khushbuon ka hisar kar ke katengi kis din madar-o-mehwar ki ye tanaben ki thak gae hum hisab-e-lail-o-nahaar kar ke teri haqiqat-pasand duniya mein aa base hain hum apne khwabon ki sari raunaq nisar kar ke ye dil to sine mein kis qarine se gunjta tha ajib hangama kar diya be-qarar kar ke har ek manzar har ek khalwat ganwa chuke hain hum ek mahfil ki yaad par inhisar kar ke tamam lamhe wazahaton mein guzar gae hain hamari aankhon mein ek sukhan ko ghubar kar ke ye ab khula hai ki us mein moti bhi dhundte the ki hum to bas aa gae hain dariya ko par kar ke ba-qadr-e-khwab-e-talab lahu hai na zindagi hai ada karoge kahan se itna udhaar kar ke