maut hai aur maut ke khadshat hain sansani hai an-dikhe khadshat hain khauf phaila hai waba ke rup mein qarya qarya pal rahe khadshat hain gar koi tiryaq hai wo hai yaqin zahr ki surat liye khadshat hain is sadi ke aadmi to hain khuda tu ne hi paida kiye khadshat hain daera dar daera tashkik hai be-tarah phaile hue khadshat hain tujh mein himmat hai to in ko mat de ai nae insan nae khadshat hain wo gali ke mod par hai muntazir dar raha hun main mere khadshat hain