abhi tawaqqoa banae rakhna abhi umiden jagae rahna bahut ghana hai andhera shab ka dilon ki shamen jalae rahna khuda hi jaane ki aane wali ruton mein kya ho jahan ki haalat abhi ye naghme na band karna abhi ye mahfil sajae rahna ye dekhna hai ki dam hai kitna ghanim lashkar ke bazuon mein safon ko apni sajae rakhna suron ko apne uthae rahna yahan kahan bastiyon ki raunaq yahan to sannata chikhta hai ujad sahra ka ye safar hai dilon ki duniya basae rahna abhi hai khatra nafas nafas par abhi hain qatil gali gali mein 'shakil' aankhen na band karna 'shakil' khud ko jagae rahna