maut ka dar nakhuda kuchh bhi nahin zindagi ka masala kuchh bhi nahin aag pani aur hawa kuchh bhi nahin sirf mitti thi bana kuchh bhi nahin kuchh lahu ka rang aur kuchh aab-o-gil mujh mein to khud-sakhta kuchh bhi nahin zindagi ki is hasin pazeb mein sirf ghungru ke siwa kuchh bhi nahin did ki khwahish ki musa ne wahan lekin un par bhi khula kuchh bhi nahin ho na jab tak hijr ki mushkil radif wasl ka to qafiya kuchh bhi nahin be-yaqini hai yaqini kaifiyat hath uthe hain par dua kuchh bhi nahin han agar maqsud ho didar-e-yar tab khala aur fasla kuchh bhi nahin ab zamin par main agar maujud hun is mein to meri khata kuchh bhi nahin jis tarah 'rukhsar' guzri zindagi maut ka ye marhala kuchh bhi nahin