ye bazm-e-shab hai yahan ilm-o-agahi kam hai

ye bazm-e-shab hai yahan ilm-o-agahi kam hai
kai charagh jale phir bhi raushni kam hai

isi liye to meri us se dosti kam hai
wo khud-parast ziyaada hai aadmi kam hai

yahi bahut hai ki pani ko chhu liya hum ne
bada hai bahr-e-mohabbat shanawari kam hai

hawa-e-garm chali yun ki bujh gae chehre
gulon mein ab ke baras bhi shaguftagi kam hai

kahan ke ishq-o-mohabbat kahan ke ilm-o-hunar
khumar-e-shauq ziyaada hai aagahi kam hai

khata hai apni ki mahaul hai zamane ka
nigah-e-garm bahut sulh-o-ashti kam hai

faza badalne se dil to badal nahin jate
wo inqalab hai kya jis ki zindagi kam hai

khayal-e-taza umadte hain baadalon ki tarah
mujhe ye gham ki mera zarf-e-shairi kam hai

meri duaen sabhi raegan gain 'nami'
na aasman hai raushan na tirgi kam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close