maut ke hathon to mera ye badan mar jaega main magar us din marunga jab ye man mar jaega sar-nigun hain suliyan mere lahu ke samne tum samajhte the ki mera bankpan mar jaega sarhadi patti pe us ki lash pahchanega kaun jo watan ki sar-zamin par be-watan mar jaega meri qurbani zaruri hai agar zinda raha jaan dene ka saliqa aur fan mar jaega chand mari kijiye lekin gulabon par nahin aaj to khushbu maregi kal chaman mar jaega dekh lijega anadi baghban ke hath se khurpiyon ke zakhm kha kha kar chaman mar jaega dur aankhon se na ja ab ai sarab-e-zindagi dard ke sahra mein aasha ka hiran mar jaega raj-naitik baniye gar dandi yun hi mara kiye har adalat mein taraazu ka chalan mar jaega dijiye tahzib ko taza hawa warna habib 'mir' ke ashaar 'mira' ka bhajan mar jaega barq se 'panchhi' nasheman ko bachane ke liye ek thokar mar dunga to gagan mar jaega