kabhi ai haqiqat-e-muntazar nazar aa libas-e-majaz mein ki hazaron sajde tadap rahe hain meri jabin-e-niyaz mein tarab-ashna-e-kharosh ho to nawa hai mahram-e-gosh ho wo sarod kya ki chhupa hua ho sukut-e-parda-e-saz mein tu bacha bacha ke na rakh ise tera aaina hai wo aaina ki shikasta ho to aziz-tar hai nigah-e-aina-saz mein dam-e-tauf kirmak-e-shama ne ye kaha ki wo asar-e-kuhan na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili mere jurm-e-khana-kharab ko tere afw-e-banda-nawaz mein na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan na wo ghaznawi mein tadap rahi na wo kham hai zulf-e-ayaz main main jo sar-ba-sajda hua kabhi to zamin se aane lagi sada tera dil to hai sanam-ashna tujhe kya milega namaz mein