maut ne fursat nikali hai abhi

maut ne fursat nikali hai abhi
gham se rahat milne wali hai abhi

jo dilai thi kitaben bech kar
us ke kanon mein wo baali hai abhi

aao yaro tum bhi thoda zor do
ishq ki gardan daba li hai abhi

aa ke wo zakhmon se dil bhar jaega
lakh behtar hai ki khali hai abhi

dagh banne mein abhi kuchh waqt hai
main ne jo ummid pali hai abhi

mil gaya ek shakhs mujh sa hu-ba-hu
jism ki khalwat khangali hai abhi

kal wo phir koi bahane aaegi
chaarasazi se jo tali hai abhi

jal rahe hain sozish-e-manzar se panw
go 'safar' sara khayali hai abhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close