maut se bad-tar hain jine ki kasak jati nahin khali paimane hue lekin khanak jati nahin har nizam-e-taza ke khaliq ko lae dar tak aaj tak duniya ke logon ki sanak jati nahin raqs karti hai hawa mein ai meri wahshat magar ashk ban kar kyon in aankhon se tapak jati nahin doston ki chutkiyan bhi qabil-e-tahsin hain zakhm bhar jate hain tasir-e-namak jati nahin khaka-e-hasti hua be-rang imkan kho gae phir bhi aankhon se umidon ki dhanak jati nahin yunhi bar-awar nahin hota tamanna ka shajar aise hi chadar tere sar se dhalak jati nahin