muddaa kya zaban se nikla

muddaa kya zaban se nikla
tir tha jo kaman se nikla

dil mein utra kabhi kabhi khanjar
harf ban kar zaban se nikla

dam se bach nikalne wale ka
kaam unchi udan se nikla

muddaa khamushi mein rahta hai
muddaa kab zaban se nikla

raat main dar gaya kitabon se
jaane kya dastan se nikla

raat ka dard kis ne samjha hai
din isi aan ban se nikla

jab nasheb-o-faraaz ne roka
rasta darmiyan se nikla

puchhiye qurq karne walon se
kya mila kya makan se nikla

badh ke dastak jo di ujalon ne
ek saya makan se nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close