maut se dard-e-mohabbat ki dawa mangi hai main ne khud apni khataon ki saza mangi hai tod mat bahr-e-khuda aas dil-e-pur-gham ki main ne zalim tere milne ki dua mangi hai rahmaten us ki tabahi-e-wafa par jis ne marte-marte tere daman ki hawa mangi hai main ne kuchh aur nahin chaha khuda-e-gham se bas tere husn ki har ek bala mangi hai apne sar aap na len dil-shikani ka ilzam main ne khud apni tabahi ki dua mangi hai hae kya chiz hai 'sahir' ye mera husn-e-talab main ne har chiz zamane se juda mangi hai