mehrban mujh pe koi naz ka pala hota mera pahlu bhi kisi chand ka haala hota phir dikhata tere jalwon ka fusun gar tujh ko meri aankhon se koi dekhne wala hota gar muyassar na thi duniya mein masarrat tujh ko zist ko dard ke sanche hi mein dhaala hota ranj-o-gham ek hain is kar-gah-e-hasti ke dil ki aankhon se magar dekhne wala hota chun liya mujh ko ki mansha-e-mashiyyat tha yahi husn ka tere koi chahne wala hota harf aa kar hi raha tere karam par saqi girne wale ko kisi ne to sanbhaala hota raaz-e-dil kah ke unhen kar diya khud-bin 'sahir' yun mohabbat ko musibat mein na dala hota