maut se zist ki takmil nahin ho sakti raushni khak mein tahlil nahin ho sakti mom ho jaun ki patthar se khuda ho jaun kisi surat meri takmil nahin ho sakti kis liye sans ki zanjir se bandha hai mujhe aur kuchh surat-e-tazlil nahin ho sakti kis liye zinda hun main kis ke liye zinda hun jurm aisa hai ki tawil nahin ho sakti in andheron mein lahu-rang saweron ki 'najib' kya firozan koi qindil nahin ho sakti