mukhtasar si zindagi mein kitni nadani kare in nazaron ko koi dekhe ki hairani kare dhup mein in aabginon ko liye phirta hun main koi saya mere khwabon ki nigahbani kare ek main hun aur dastak kitne darwazon pe dun kitni dahlizon pe sajda ek peshani kare raat aisi chahiye mange jo din bhar ka hisab khwab aisa ho jo in aankhon mein virani kare sahilon par main khada hun tishna-kaamon ki tarah koi mauj-e-ab meri aankh ko pani kare