mayassar aaj sarokar se ziyaada hai diye ki raushni miqdar se ziyaada hai ye jhank leti hai andar se aarzu-khana hawa ka qad meri diwar se ziyaada hai ghutan se darte main shahr-e-hawa mein aaya tha magar ye tazgi darkar se ziyaada hai yunhi main aankh se bahar nikal ke dekhta hun mera qadam meri raftar se ziyaada hai main roz ghar ki khamoshi mein us ko sunta hun jo shor raunaq-e-bazar se ziyaada hai main muttaqi hun magar hausla gunahon ka mere badan mein gunahgar se ziyaada hai