mayassar ishq mein sabr-o-qarar-e-dil nahin hota jahan tufan hota hai wahan sahil nahin hota agar koshish na ki jae to kuchh hasil nahin hota ki be-sai-e-amal tamir mustaqbil nahin hota nahin hota jise ehsas auron ki musibat ka wo ek patthar to ho sakta hai lekin dil nahin hota haden mere junun-e-shauq ki hain kis qadar aage sar-e-manzil pahunch kar bhi sar-e-manzil nahin hota tumhaari jalwa-arai se rangini hai duniya mein na hote tum to ye hangama-e-mahfil nahin hota irada ho to koi baat na-mumkin nahin rahti bharosa ho to koi kaam bhi mushkil nahin hota nazar us ki maal-e-zindagi jis ko nazar aae samajh us ki hai jo anjam se ghafil nahin hota sadaqat ka zamane mein hamesha bol-baala hai jo haq par hon unhen andesha-e-baatil nahin hota na khul jae kahin raaz-e-mohabbat dekh ai 'shankar' hujum-e-yas mein kuchh e'tibar-e-dil nahin hota