ye aur baat ki us se hai wasta dil ka

ye aur baat ki us se hai wasta dil ka
jo aa gaya to ajab haal ho gaya dil ka

jo chahe dekhna dekhe wo baatini taswir
uthae hath mein phirta hun aaina dil ka

sukun mile to fasurda ho iztirab to khush
samajh saka na koi bhi moamla dil ka

ab aakhir aise musafir ko kya kaha jae
jo puchhta hai har ek gam faisla dil ka

jo bewafa hain wahi apnon jaise lagte hain
ajib logon se rahta hai wasta dil ka

qabaen waqt ne mani ki lakh pahnain
magar samajh na saka koi falsafa dil ka

bacha ke rakhna hai ai 'shan' dosti ka bharam
wagarna kam nahin hone ka fasla dil ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close