mayassar khud nigah-dari ki aasaish nahin rahti mohabbat mein to pesh-o-pas ki gunjaish nahin rahti andhere aur bhi kuchh tez-raftari se badhte hain diya koi jalane ki jahan koshish nahin rahti ye dil to kis taraf jaane baha kar le gaya hota nigahon mein agar wo saat-e-pursish nahin rahti mah-o-anjum se laut aaen ijara-dar duniya ke jahan ye panw rakhte hain wahan tabish nahin rahti bahut se phul lahje khar hote hum ne dekhe hain kisi shirin-nawa ki dil ko ab khwahish nahin rahti musallas ka khat-e-salis mujhe mil kar nahin deta kabhi qismat se wo ruk jae to barish nahin rahti