ye tere husn ka aaweza jo mahtab nahin kaba-e-ishq nahin rauza-e-yak-khwab nahin ek kolaz banati hai teri khamoshi khat-e-inkar nahin surat-e-ijab nahin kohar ki rehl pe aur dhund ke juzdan mein wo ek sahifa hai ki jis par koi erab nahin ek kahani ke pas-o-pesh teri aahat hai ghas ke kunj nahin kai ke talab nahin tere pa-posh mera takiya tera jism-e-haram is se ziyaada to nigah waqif-e-adab nahin aainon ki hai koi badh mere raste mein sadd-e-aflak nahin chadar-e-asbab nahin shakl jo mujh pe paristan ke dar kholti hai raunaq-e-hujra nahin zinat-e-mehrab nahin ye zamanon ki adaen ye jahanon ka suluk aise logon se jo is ahd mein kamyab nahin dil bahe jata hai kis rau ke bahaw mein ki wo shiddat-e-hijr nahin tundi-e-sailab nahin teri aankhon mein meri nind ka tezab nahin tere honton pe mere hont hain aur khwab nahin khun se at gain shahrahen peshawar teri dosh pe darron ke ab chadar-e-kam-khwab nahin