mayus kis liye ho utho baat karte hain duniya ke masalon pe chalo baat karte hain niyyat mein khot garche tumhaari nahin hai dost kyon bhage ja rahe ho ruko baat karte hain tum ko kisi bhi baat pe qabu nahin raha pahle to apni had mein raho baat karte hain kuchh aisa karte hain ki wo khamosh hi rahe zakhmon pe zakhm dil ko na do baat karte hain tum ne ye kaise socha ki sar par bithaenge dukh-dard apne nam karo baat karte hain ai gham zamane baad khushi milne aai hai kyon darmiyan ho apne hato baat karte hain masruf har koi hai yahan jaante hain hum fursat ho apne pas milo baat karte hain gir kar sanbhalna itna kahan sahl hai 'nazar' chhodo rawish ye tedhi suno baat karte hain