jism-o-jaan ke hisar mein main hun ek ajab se dayar mein main hun shabnami taj hai mere sar par kitni dilkash phuwar mein main hun qatl-o-ghaarat-gari tera pesha amn ke karobar mein main hun tazgi mere rukh se zahir hai lamha-e-khush-gawar mein main hun qalb ko e'tiraaz beja hai zehn ke ikhtiyar mein main hun mujh ko us par ka sunao haal bahr ke is kanar mein main hun pas khush-fahmiyon ki daldal hai ek tarik ghaar mein main hun ai 'nazar' dar khizan ka ghere hai jab ki shahr-e-bahaar mein main hun