maza be-hoshi-e-ulfat ka hoshyaron se mat puchho azizan khwab ki lazzat ko be-daron se mat puchho hamein kuchh dakhl in baaton mein sunte ho nahin mutlaq haqiqat bewafai ki wafadaron se mat puchho jo puchho to azizan dil se puchho ya ki tum hum se hamari aur us ki baat aghyaron se mat puchho gae we din jo rahte the jahan-abaad mein hum bhi kharabi shahr ki sahra ke aawaron se mat puchho gulon ko kab khabar hai haal-e-zar-e-andalibon se haqiqat muflison ki aah zar-daron se mat puchho wo dil rakhte hain apna pas apne balki ghairon ka haqiqat be-dilon ki aah dil-daron se mat puchho khabar dil ki agarche ho mere ashkon se tum sun lo ye waqif khub hain us ghar se harkaron se mat puchho unhon ka jal raha hai dil khuda jaane ki kya bolen mera ahwal koi mere gham-khwaron se mat puchho ye apne haal hi mein mast hain in ko kisi se kya khabar duniya wama-fiha ki mai-khwaron se mat puchho hua hai in dinon wo aashnaon se bhi begana kharabi ko 'hasan' ki aaj-kal yaron se mat puchho