nasheb-e-wahm faraaz-e-gurez-pa ke liye hisar-e-khak hai had par har intiha ke liye wufur-e-nashsha se rangat siyah si hai meri jala hun main bhi ajab chashm-e-surma-sa ke liye hai ird-gird ghana ban hare darakhton ka khula hai dar kisi diwar mein hawa ke liye zamin hai maskan-e-shar aasman sarab-alud hai sara ahd saza mein kisi khata ke liye asiri-e-pas-e-aina-e-baqa aur tu nikal ke aa bhi wahan se kabhi khuda ke liye khada hun zer-e-falak gumbad-e-sada mein 'munir' ki jaise hath utha ho koi dua ke liye