maza gunah ka jab tha ki ba-wazu karte

maza gunah ka jab tha ki ba-wazu karte
buton ko sajda bhi karte to qibla-ru karte

kabhi na parwarish-e-nakhl-e-arzu karte
numu se pahle jo andesha-e-numu karte

sunen na dil se to phir kya padi thi kharon ko
ki gul ko mahram-e-anjam-e-rang-o-bu karte

gunah tha bhi to kaisa gunah-be-lazzat
qafas mein baith ke kya yaad-e-rang-o-bu karte

bahana chahti thi maut bas na tha apna
ki mezbani-e-mehman-e-hila-e-ju karte

dalil-e-rah dil-e-shab charagh tha tanha
buland-o-past mein guzri hai justuju karte

azal se jo kashish-e-markazi ke the paband
hawa ki tarah wo kya sair chaar-su karte

falak ne bhul-bhulayyon mein dal rakkha tha
hum un ko dhundte ya apni justuju karte

asir-e-haal na murdon mein hain na zindon mein
zaban katti hai aapas mein guftugu karte

panah milti na ummid-e-be-wafa ko kahin
hawas-nasib agar tark-e-arzu karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close