mujhe dil ki khata par 'yas' sharmana nahin aata paraya jurm apne nam likhwana nahin aata mujhe ai nakhuda aakhir kisi ko munh dikhana hai bahana kar ke tanha par utar jaana nahin aata musibat ka pahad aakhir kisi din kat hi jaega mujhe sar mar kar teshe se mar jaana nahin aata dil-e-be-hausla hai ek zara si thes ka mehman wo aansu kya piyega jis ko gham khana nahin aata sarapa raaz hun main kya bataon kaun hun kya hun samajhta hun magar duniya ko samjhana nahin aata