maza jab hai use barq-e-tajalla dekhne wale jamal-e-yar mein tahlil ho ja dekhne wale nazar aati tujhe har khak ke zarre mein ek duniya nigah-e-ghaur se tu ne na dekha dekhne wale tujhe nazdik se bhi ek din wo dekh hi lenge tasawwur mein tera husn-e-dil-ara dekhne wale khabar bhi hai tujhe kuchh ye tamasha-gah-e-alam hai tamasha khud na ban jaana tamasha dekhne wale harim-e-tur ka 'simab' jab uthne laga parda nida ye ghaib se aai sambhal ja dekhne wale