majbur hun gunah kiye ja raha hun main fard-e-amal siyah kiye ja raha hun main go jaanta bhi hun tera milna muhaal hai is par bhi teri chah kiye ja raha hun main tera fareb-e-wada bahut kaamyab hai aankhon ko farsh-e-rah kiye ja raha hun main taqsim ho rahi hai meri wusat-e-nazar zarron ko mehr-o-mah kiye ja raha hun main tera karam hi is ka muharrik na ho kahin kya jaane kyun gunah kiye ja raha hun main mujh ko khabar hai shaikh tujhe kuchh khabar nahin kyun zindagi tabah kiye ja raha hun main 'simab' din se bhi mere dil ko ishq hai duniya se bhi nibah kiye ja raha hun main