mazaq-e-ishq se main sharmsar ho na saka ki raazdan bhi mera raazdar ho na saka nazar se zarron ko ulta galon ko chaak kiya magar main sar-khush-e-didar-e-yar ho na saka shabab-o-ishq ki kul umr ek lamha thi mujhe ye lamha magar sazgar ho na saka baja-e-khud meri hasti ko kar diya uryan wo parda-dar mera parda-dar ho na saka wo kis bharosa par ummid-war ho tera teri nazar pe jise eatibar ho na saka mulahiza ho mohabbat ka zauq-e-nazzara jo aashkar tha wo aashkar ho na saka mera maal bhi hota chaman sa ibrat-nak junun ka shukr ki waqf-e-bahaar ho na saka nigah-e-mast ka mamnun-e-kaif hun 'makhmur' ki pi to khub magar baada-khwar ho na saka