ai dida-e-giryan kya kahiye is pyar-bhare afsane ko ek shama jali bujhne ke liye ek phul khila murjhane ko main apne pyar ka dip liye aafaq mein har-su ghum gaya tum dur kahin ja pahunche the aakash pe ji bahlane ko wo phul se lamhe bhaari hain ab yaad ke nazuk shanon par jo pyar se tum ne saunpe the aaghaz mein ek diwane ko ek sath fana ho jaane se ek jashn to barpa hota hai yun tanha jalna thik nahin samjhae koi parwane ko main raat ka bhed to kholunga jab nind na mujh ko aaegi kyun chand sitare aate hain har raat mujhe samjhane ko