mazaq-e-kawish-e-pinhan ab itna aam kya hoga zaban par ham-safiron ki mera paigham kya hoga kahe deta hai khud aaghaz hi anjam kya hoga teri aatish-bayani se charagh-e-sham kya hoga na ghabra baghban bulbul ki rasmi nauha-khwani se bhala in chand tinkon ka nasheman nam kya hoga fida-e-kasmpursi hun nisar-e-talkh-kaami hun mere azm-e-talab ka muddaa aaram kya hoga fareb-andar-fareb aatish-dar-atish ai maaz-allah khuda na-karda fasl-e-gul tera anjam kya hoga iradat ka bharam khul jaega baiat na le saqi giraftar-e-salasil hun tawaf-e-jam kya hoga ye kyun samjhaun main 'yaqub' nok-e-nashtar-e-gham ko jo baqi rah gaya hai khun-e-haft-andam kya hoga