mazdur ke kisan ke haalat pe likhen aao ghazal ko apni nai baat pe likhen ab dastan-e-shirin-o-farhad chhod kar ashfaq ke bhagat ke khayalat pe likhen apni qalam ko rang-e-siyasat se mod kar kashmir pe asam pe gujraat pe likhen insaniyat ke zikr ka kuchh bhi hai gar khayal is mulk ke gharib ke jazbaat pe likhen insan hi to pyasa hai insan ke khun ka qatil ke dar se sahmi hui raat pe likhen