maze ishq ke kuchh wahi jaante hain ki jo maut ko zindagi jaante hain shab-e-wasl lin un ki itni balaen ki hamdam mere hath hi jaante hain na ho dil to kya lutf-e-azar-o-rahat barabar khushi na-khushi jaante hain jo hai mere dil mein unhin ko khabar hai jo main jaanta hun wahi jaante hain pada hun sar-e-bazm main dam churae magar wo ise be-khudi jaante hain kahan qadr-e-ham-jins ham-jins ko hai farishton ko bhi aadmi jaante hain kahun haal-e-dil to kahen us se hasil sabhi ko khabar hai sabhi jaante hain wo nadan anjaan bhole hain aise ki sab shewa-e-dushmani jaante hain nahin jaante is ka anjam kya hai wo marna mera dil-lagi jaante hain samajhta hai tu 'dagh' ko rind zahid magar rind us ko wali jaante hain