mazi ka tajassus hai na farda ki khabar hai ek lamha-e-maujud hai aur apna safar hai qabu mein hain aasab na jazbaat na anfas bikhri hui har chiz hai phaila hua ghar hai har sabit-o-sayyar ki ek had hai muqarrar aflak ki wusat mein bhi diwaren hain dar hai kya lamha-e-tashkik koi zehn mein utra kya baat hai kyon fikr meri zer-o-zabar hai aaina-gari sikh to li shahr mein sab ne kya aaina-ausaf koi aaina-gar hai marbut hai tahzib-e-kuhan se mera rishta lahje mein buzurgon ki duaon ka asar hai kuchh itna badha bojh subuk ho gaya shana ye ishq bhi ai 'raaz' ajab bar-e-digar hai