musalsal regzaron ka safar hai mohabbat asl mein kar-e-digar hai haqiqat kya hai aur kya hai fasana ye sab kuchh munhasir haalat par hai ragon mein aag si bhar de to sahra sukun se nind aa jae to ghar hai dayar-e-dida-o-dil mein abhi tak khushi na-mo'tabar gham mo'atabar hai jo kal sahra-nawardi par tha mail wo ab minnat-kash-e-diwar-o-dar hai azal se hun saza-war-e-masafat safar paiham safar paiham safar hai sarapa tifl-e-nadan 'raaz' ban ja khayal-e-khatir-e-ahbab gar hai