mazi ke gulistan mein jab le chalengi aankhen

mazi ke gulistan mein jab le chalengi aankhen
lamhon ki khushbuon se mahka karengi aankhen

yaadon ke abr jab bhi chhaenge zehn-o-dil par
be-sakhta jhama-jham bahne lagengi aankhen

alfaz jab na honge honton pe honge tale
aise mein dil ki sari baaten kahengi aankhen

malum hai ki us ne aana nahin hai wapas
har-waqt phir bhi us ka rasta takengi aankhen

kitne bhi hon samundar ashkon ke un mein chahe
duniya ke samne par hansti rahengi aankhen

diwar takte hi guzregi raat shayad
ninden hi ruth jaen to kya karengi aankhen

ziddi hain is qadar ye sunti nahin hai kahna
bojhal hon chahe palken phir bhi jagengi aankhen

majbur hain ye shayad fitrat se apni 'madhuman'
mayusiyon mein bhi kuchh sapne bunengi aankhen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close