dil par ek naqsh mohabbat ka ubhaaren to sahi zindagi apni sanwar jae sanwaren to sahi zist andheron se nikal kar mah-e-kaamil ban jae us ki yaadon se zara dil ko nikhaaren to sahi be-niyazi hai jahan lutf-o-karam bhi hain wahan us ko pyar aur mohabbat se pukaren to sahi itna mil jae ki duniya ki hawas mit jae us ke aage zara daman ko pasaren to sahi dil ki aawaz bhi aawaz-e-jaras lagti hai ja ke virane mein ek raat guzaren to sahi mom kar deti hai patthar ko bhi mithi aawaz hum unhen pyar se ek bar pukaren to sahi chand baadal mein chhupa hai to nikal aayega raat ki chhanw mein wo zulf sanwaren to sahi dekhen kya faisla karti hai adalat un ki aaj ek pyar ki darkhwast guzaren to sahi ho na ho un se mulaqat 'musawwir' lekin un ki rahon ko nigahon se sanwaren to sahi