mazmun achhuta bhi ho ashaar nae hon ho baat ghazal mein nai afkar nae hon kaliyan bhi nai phul nae khar nae hon nazron ka taqaza hai ki gulzar nae hon phir aa ke zara kijiye tajdid-e-mohabbat dil ki ye tamanna hai ki aazar nae hon is tarah se tartib do ab saz-e-mohabbat kuchh tar purane bhi hon kuchh tar nae hon mazmun bahut hi hai purana tera shair aur waqt ye kahta hai ki afkar nae hon mai-khane ki har shai ko badal dijiye 'tishna' saqi bhi mai-o-jam bhi mai-khwar nae hon